Sunday, November 07, 2010

Zindagi pechida hai

Meri hi zindagi hai lekin is mein main kam hoon,
Mujh mein, tum ho kar bhi tum nahin ho,
Tujh mein main nahin ho kar bhi main har jagah hoon,

Tum chahe maano ya na maano isse,
Lekin tumhari yaad mein aaj bhi main hoon,
Yakeen nahin hota agar, toh kisi gair se pooch lo,
Us mein bhi agar main na nazar aaya, toh phir kehna,

Hum dono ki chahat ek thi magar thikane alag,
Baat wohi thi magar bahane alag,
Main tumse kaafi kuch keh gaya,
Magar sunne mein hi kami reh gayi,

Tum kehti rahi har dum jo tumne aakhir tak kaha,
Magar main wohi sun raha tha jo mujhe tha manzoor,

Aaj jab mudkar peeche dekha maine,
Toh jaana ki humne rahein hi alag chuni thi,

Main aaj bhi tumhe sun sakta hoon,
Isliye nahin ki tum paas ho,
Isliye kyunki main apna ek hissa tumhare paas chod aaya hoon...

Yeh meri zindagi hai?

Meri zindagi mein main kahan hoon?

Itna sama chuki ho mere andar tum,
Ki ab mujhmein bhi sirf tum ho,
Khud mein hi dhoondhta hoon tumhe,
Phir bhi kahin na milti tum ho,

Baat karne ki koshish jab ki maine,
Tum mujhe mein hi chip gayi kahin,
Maine bahut pukaara lekin,
Ek awaaz na suni tumne,

Aaj bhi dastak deta hoon main apne dil pe,
Is umeed mein ki shayad tum jawab dogi,
Kae saal beet gaye, yeh aadat gayi nahin ab tak,
Jawab toh nahin aaya magar, iss aadat ne ek nishaan chod diya dil par,

Ab main bhool chuka hoon tumhe lekin,
Dil pe reh gaya jo nishaan uska kya karun,
Jab jaana hi tha tumhe zindagi se meri,
Toh kambakht dil ko bhi saath le jaati,

Na nishaan ki takleef hoti, na jeene ki...