Koi toh jaaye aur bataye usse,
Main jee raha hoon khushi se,
Kabhi kabhi dard jab hota hai,
Pee jaata hoon khud hi ki marzi se,
Dekh kar uski harkatein puchta hoon khud se,
Ki kisse maine pyar kiya,
Kya yehi woh ek hasi thi,
Jiske liye main ab bhi ghut raha hoon,
Usse toh zara bhi fikar nahin,
Bas main hi hoon jo jee kar bhi mar raha hoon,
Chahta hoon ki koi toh bataye usse,
Ki haal theek nahin hain mere,
Magar phir yeh khayal aata hai,
Ki kya usse qadar bhi hai meri,
Main hi hoon jo ab tak uski yaad mein,
Aansu yunhi baha raha hoon,
Usse toh padi bhi nahin hai meri,
Ki main jee raha hoon ya mar gaya hoon,
Mere marne ke baad bhi khabar na dena yaaron,
Shayad tab bhi main khud hi batane chala jaun.
Main jee raha hoon khushi se,
Kabhi kabhi dard jab hota hai,
Pee jaata hoon khud hi ki marzi se,
Dekh kar uski harkatein puchta hoon khud se,
Ki kisse maine pyar kiya,
Kya yehi woh ek hasi thi,
Jiske liye main ab bhi ghut raha hoon,
Usse toh zara bhi fikar nahin,
Bas main hi hoon jo jee kar bhi mar raha hoon,
Chahta hoon ki koi toh bataye usse,
Ki haal theek nahin hain mere,
Magar phir yeh khayal aata hai,
Ki kya usse qadar bhi hai meri,
Main hi hoon jo ab tak uski yaad mein,
Aansu yunhi baha raha hoon,
Usse toh padi bhi nahin hai meri,
Ki main jee raha hoon ya mar gaya hoon,
Mere marne ke baad bhi khabar na dena yaaron,
Shayad tab bhi main khud hi batane chala jaun.
1 comment:
Wow...
Post a Comment