Saturday, February 12, 2011

Kya Khuda, mazzak kar rahe ho?

Poochta mujhse mera khuda hai,
Poochta mujhse mera khuda hai,
Kya waqt ka hosh hai tumhe?
Kya andaaz hai mahaul ka?
Bewaqt saare kaam karte ho,
Kya tum bhi kabhi soya karte ho?

Jawab mein maine kaha khuda se,
Jawab mein maine kaha khuda se,
Itna mushkil kar diya din guzarna mera,
Har mod par takleef de di,
Joonjh raha hoon main kisi tarah se,
Kya mujhe dekh kar tum kabhi roya karte ho?