Wednesday, July 04, 2018

Kuch meri kalam se



Aadat si ho gayi hai teri, parchaiy meri aur tu nazar aati hai,
Lafzon mein mere kashish hai teri, husn tera meri ibadat si ho gayi hai
Jaagta hoon raaton ko, khidki se tujhe jhaankta,
Dekha na tujhe shaam se, Kuch pal bhi ab muddat si ho gayi hai

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Masoom si hasi hai mere yaar ki,
Khuda bhi dekh kar sharma jaaye
Murdon mein jaan phoonk de
Aashiqon ki line lag jaaye

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Muddaton ke baad mehsus kiya hai jo,
Aankhon mein uske ek nasha sa hai,
Aanchal mein apne chupa leti hai wo is dil ko,
Pyar phir bhi dikh jaata jai humein

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Zakhm abhi hare hain, mat chu ae qaatil,
Haath laal tere honge, maile hum ho jayenge

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

Dost wo purani thi



Dost wo purani thi,

Nazar jaane kyun badli aaj,

Khabar uski pehle se thi mujhe,

Jaane kyun dil dhadka aaj,

Ek anjaan si Khushi mehsus hui hai,

Dukh ke Saath aati hai na, woh wali,

Khoj raha tha jise main darbadar

Mila mujhe wo yahin kareeb,

Kya fayda lekin is faasle ka,

Duriyaan yeh mitengi toh nahin

Mera hokar bhi mera na hoga wo

Dil uska kahin aur hai

Saans lena bhi chod deta main

Ek baar jo kehde wo,

Haan maine bhi mohabbat ki hai tumse

Haan maine bhi mohabbat ki hai tumse

Many things I am...



Many things I am,a winner I'm not
Many things I like,a lover I'm not
Many things I feel, emotional I'm not
Many things I question, knowledgible I'm not
Many things I do, productive I'm not
Many things I see, observer I'm not
Many things I think,a philosopher I'm not
Many things I talk, listener I'm not

Many things I write,a reader I'm not

All things you read, you believed them, I could not